Tuesday 21 March 2017

Jo shakhs sunta hai, vo bol bhe to sakta hai.

Meri nazar mein duniya ka sabh se bewaqoof insaan vo hai jo dosre ko bewaqoof samajhta hai. Aap pora din jitna chahain dil khol kar chalakiyan krlein, par agar aap ye samjh rahe hain k aap ki chalakiyan kisi ko nazar nahe arahen to maaf keejiyega, par aap intehai bewaqoof hain. Aap jitna marzi chahain kisi shakhs ko dunya mein badnam krlein, par agar aap ye samjh rahe hain k aap ki kartooton se vo shakhs laa-ilm hai to aap behadh bewaqoof hain. Zindagi aap ki hai, lehaza marzi bhe aap ki he hai. Jis se chahain toot kar mohabbat krein, jis se chahain chup kar nafrat krein. Par dil mein nafrat chupa kar agar aap jhooti mohabbat jata rahe hain, to aap waqai bewaqoof hain. Koi aap k satane k bawajood khud ko samait kar betha hai, aap ko aeena nahe dikha raha, to yaqeen janiye, usko bebas samjhna aap ki zindagi ki sabh se bari bewaqoofi hai. Ksi ki zaat ko bar bar sangsaar karke, usay hadh darja zich karke, agar aap samjhte hain k vo aap ko pore dil se izzat dega, mohabbat dega, sabh bhula kar aap k huqooq pore karega, kiun k vo aesa karnay ka paband hai to aesa samjhna sirf or sirf aap ki bewaqoofi hai. Koi bhe shakhs nafrat ka sila mohabbat se dene ka paband nahe hota. Koi bhe itna bebas nahe hota k aap ko munh tor jawab na de sakay. Bas kabhe ulajhna zameer gawara nahe karta, kabhe shaoor buray k sath bura banne se rok leta hai. Ksi ne bilkul sahe kaha hai,

Adab ki baat hai warna zara socho to,
Jo shakhs sunta hai, wo bol bhi tou sakta hai.

No comments:

Post a Comment