Tuesday 21 March 2017

Jo shakhs sunta hai, vo bol bhe to sakta hai.

Meri nazar mein duniya ka sabh se bewaqoof insaan vo hai jo dosre ko bewaqoof samajhta hai. Aap pora din jitna chahain dil khol kar chalakiyan krlein, par agar aap ye samjh rahe hain k aap ki chalakiyan kisi ko nazar nahe arahen to maaf keejiyega, par aap intehai bewaqoof hain. Aap jitna marzi chahain kisi shakhs ko dunya mein badnam krlein, par agar aap ye samjh rahe hain k aap ki kartooton se vo shakhs laa-ilm hai to aap behadh bewaqoof hain. Zindagi aap ki hai, lehaza marzi bhe aap ki he hai. Jis se chahain toot kar mohabbat krein, jis se chahain chup kar nafrat krein. Par dil mein nafrat chupa kar agar aap jhooti mohabbat jata rahe hain, to aap waqai bewaqoof hain. Koi aap k satane k bawajood khud ko samait kar betha hai, aap ko aeena nahe dikha raha, to yaqeen janiye, usko bebas samjhna aap ki zindagi ki sabh se bari bewaqoofi hai. Ksi ki zaat ko bar bar sangsaar karke, usay hadh darja zich karke, agar aap samjhte hain k vo aap ko pore dil se izzat dega, mohabbat dega, sabh bhula kar aap k huqooq pore karega, kiun k vo aesa karnay ka paband hai to aesa samjhna sirf or sirf aap ki bewaqoofi hai. Koi bhe shakhs nafrat ka sila mohabbat se dene ka paband nahe hota. Koi bhe itna bebas nahe hota k aap ko munh tor jawab na de sakay. Bas kabhe ulajhna zameer gawara nahe karta, kabhe shaoor buray k sath bura banne se rok leta hai. Ksi ne bilkul sahe kaha hai,

Adab ki baat hai warna zara socho to,
Jo shakhs sunta hai, wo bol bhi tou sakta hai.

Thursday 9 March 2017

Bahu Raani!

Abiha ki saas Khuda ka bara shukar ada karti hain k unke betay unka kaha sar ankhon pe rakhte hain. Kabhe kisi cheez ki takleef nahe hone dete. Achay se acha khilate hain, pehnate hain, ghumaate hain. Sas to sas, sas k behen bhaiyun tak ka behadh khayal rakhte hain. Or unke mutabiq ismein sara kamal unki tarbiyat ka hai, jo unki aulad itni mohabbat karne wali or khayal karne wali hai. Vo aksar misaal deti hain apni behen k bachon ki, jo maa baap ki taraf se bilkul la-parwah hain. Lakin unke baqol ismein unki behen k beton ka qasur nahe, qasur unki biwiyun ka hai. Kiun k aurat ghar k nizaam ko banane mein bohat ehem kirdaar ada karti hai. Jab vo apni behen k beton or bahuon ki bat karke afsos karti hain to mera zameer andar se cheekh-o-pukar karaha hota hai k jab burai ki zimedar bahu hai, to achai ki zimedar bahu kiun nahe? Ek aurat jo chahay to bht baa-asaani apne shohar ki kamai pe daboch kar usay ghar walon pe kharch karne se rok skti hai, agar vohe aurat apne shohar k sath mil kar uske maa bap ko sar ankhon pe rakhti hai, to kiya vo tareef ki haqdar nahe? Kiya uski tarbiyat qabil-e-tehseen nahe? Jo bahu ek jora khud le to ek saas ka la kar de, har bar ghomne jaye to sas ko sath le kar jaye, kiya vo dua k laiq nahe? Hamara muashra aurat ko sirf ilzaam dene mein yad rakhta hai. Jahan aurat qabil-e-tehseen ho wahan uska credit uske shohar k sar rakh dia jata hai.

Wednesday 8 March 2017

Mohsin!

Bari mashhoor kahawat hai, Khuda de kar bhe aazmata hai or lekar bhe aazmata hai. Mujhe lagta hai dor-e-hazir ki munasibat se is fiqray mein ek addition honi chahye k Allah pak dilwa kr bhe aazmata hai. Chahay vo koi raaz ho, amanat ho, tohfa ho, izzat ho, mohabbat ho, udhaar ho ya ehsaan ho. Log aksar in mein se milne wali cheezon ko Khuda ki meherbani se mansoob krdete hain or dene wale ka koi ehsaan he nahe mantay. Aap ko bawaqt-e-zaroorat koi banda agar udhaar de de to Allah ka shukar karne k sath sath ye bhe sochna chahye k Allah ne falan bnday k zariye he madad kiun ki? Vo har shay pe qudrat rakhne wala chahta to udhaar ki wjah he mita deta, koi bond khulwa deta, koi inami scheme se pesa dilwa deta par usne ksi khaas bnday ko he kiun choose kia? Itni wasee kainat mein se ek makhsoos shakhs ka he raaz aap tak kiun pohanchwaya? Mene aksar logon ko dekha hai, zarurat pori hojae to apni duaon ko sara credit de dete hain. Hum ne dua ki to ye kaam hoa. Jo shakhs us kaam ko karwane ki wajah bana uska kahen koi naam-o-nishaan nahe hota. Ksi ne mushkil mein udhaar diya to keh dete hain Khuda ne ghaib se madad bheji, jsne madad ki vo ksi ginti mein he nahe hota. Koi aapki zaruratain pori kraha hai to ya to ye us ka farz hai ya aap ka haq ya phir Khuda ki aap pe meherbani. Us karne walay ka kahen zikr he nahe hota. Beshak k har madad k peechay Khuda ki he zaat hoti hai warna banday ki kia auqat, magar jo zariya bana uska kiya?

Tuesday 10 January 2017

Fashion labels

Kisi zamanay mein logon ka aqeeda hoa karta tha k naiki karke usay zahir nahe karna chahye. Ehsaan karke usay jatana nahe chahye. Sahe hote hoe bhe khamoshi ikhtiyar karleni chahye. Ghalat k agay jhuk jana chahye. Koi aap se badguman ho kar logon ko bharkata phiray to usay haal pe chor dena chahye. Lakin, ghaliban ye bohat puranay zamanay ki reet thee. Jab logon mein apna mohasba karne ki sifat baqi thee. Jab logon mein ehsaas baqi tha. Aaj kal ka daur bohat modern hogaya hai. Ab naiki karke chupane wale ko log fashion k hisab se GUMRAH ka label de dete hain. Kehte hain k janab deen se gumrah hogaya hai, neki ka mauqa ganwa dia. Ehsaan karke jatanay na wale ko log BEHIS ka label de dete hain, kiun k aap ne jataya nahe to pata he nahe laga k aap k andar ka ehsas zinda hai ya behisi ki maut mar chuka hai. Haq pe hokr bhe khamosh hojane wale pe GHALAT ka label lag jata hai. Qasur na hote hoe bhe jhuk jane wale ko "AGAYA NA LINE PE" ka label mil jata hai. Apne kirdar k mutalliq safai na dene wale ko BADKIRDAR ka label mljata hai. Is se to hadh darja behtar vo log hain jo khamoshi k karway ghont peenay ki bajae cheekh cheekh kar dosron k kanon k parday phar dene ko prefer karte hain. Aese logon ko na zamana bura samjhta hai na unka apna zameer unhain kosta hai. Sukon ki neend sotay hain or chain ki zindagee guzarte hain. Aziyat to bas unke hissay mein ajati hai jo outdated morals k saharay jee rahe hon.